Khatam apni chahton ka silsila kaise hua !
Tu to mujh mein jazab tha mujh se juda kaise hua !!
Wo jo sirf tere aur mere darmiyan ek baat thi !
Aao sochein shehar us se aashna kaise hua !!
Chubh gayin seeney mein tooti khawahishon ki kirchiyan !
Kya likhun dil tootney ka haadsa kasie hua !!
Jo rang-e-jaan tha kabhi milta hai ab rukh phair kar !
Sochta hoon iss qadar wo bewafa kaise hua… !!

!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Aye Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,

Yu to her sham umid me guzar jati hain.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.

Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.

Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya…