Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai accha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke bhi pass nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi apna toh kabhi begaano sa.
Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai, Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in aankho ko uski talaash nahi.

Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi!!!