Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne,
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne..
Jab bhi maa ka naam liya,
Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne..
Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi,
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne..
Jaagti rahi who raat bhar mere liye,
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne..
Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai,
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne..
Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
Aisa farishta paya hai mai ne..
Meri har fiker ko janne wali,
Mere jazbaaton ko pehcanne wali,
Aisi hasti payi hai mai ne..
Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne


Teray sheher teri soch say nikal jaon ga,
kisi udaas shaam mein dhal jaon ga,

Tu jo mukar gaya hai her baat say apni,
dekh lena aik din mein bhi badal jaon ga,

Mat dikha mujh ko apna pasheman chehra,
jab ke tu jaanta hai mein pighal jaon ga,

Chahay laakh tarpoon tere intizaar mein,
mat lout ke aanaa mein sambhal jaaon ga,

Tera hona itna zaroori to nahi hai Sahil,
Me to yaadon ke khilonay se behel jaon ga!!!!!!