Tuesday, January 22, 2013

Ahmad Faraz shayari | Sad Hindi Urdu Shayari, Sher o Shaeri SMS Poetry



Boht ajeeb hain ye bandishain muhabbat ki faraz,

Na uss nay qaid main rakha na hum faraar hoe……….

Wo Tu Milta Hay Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz
Yeh DIL Hay Kitni Fursat Se Sochta Hay Usay

Saleeqa Ho Agar Bheegi ANKHON Ko Parrehnay Ka FARAZ
To Behtay Howe AANSU Bhi Aksar Baat Kerte Hain

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz
Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala

Jab Mere Dil Mein Tere Yaado Ki Azan Hoti Hai Faraz
To Apne He Aanso Se Wazo Kar Kay Teri Muhabbat Ki Ebadat Karta Hun.

Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna “Faraz”
Maine Wo Zakham Bhi Khaye Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The..

Tanhai Tho Hai Saathi Apni Zindagi K Har Ek Pal Ki ” Faraz “
Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa K Kisi Nei Saath Na Diya…

Na Murawat Na Mohabbat Na Khuloos Hain Faraz
Main Tho Sharminda Hun Is Daur Ka Insaan Hokar..


Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai
“Faraz”
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti..


Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz”
Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad

Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz
Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz,
Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!

Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ
Main pyar likhon to tera naam likha jata hai..

ghar ki talaash me ess sheher aaya tha,
chaar deeware to mili par qaid ho gaya..!!

minnate karte hai neend se aa jao, nahi aati hai,
phir unka aise he na aana yaad aata hai..!!

na jaane kab ess sheher ki taseer badal gayi,
ghar par nahi aati hai ab vo boodhi bhikaran...!!

Rozbaroz akhbaro me khud ko dhundhta hu,
gumshuda ki talaash me lage chehro ko tareeke se dekh kar...!!

Ab chandni utarti hai mere sehan main aksar, Tere anay se yeh khali makan ghar hone laga hai...!!

Mujhe maloom hai meri ankhon ko talash kis ki hai,
Tujhe dekhoon to bass manzil ka gumaan hota hai..!!

Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,

mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,
ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath.

Na chupaye ga Naqaab uske Shabaab ko Faraz….
Nigaah-e-Ishq se Paththar bhi toot jatay hain..

Suna Hai Un Ka Ashkon Se Bujhti Hai Pyas Sehra Ki ‘Faraz’
Jo Kehtay Thay K Pathar Hain Humain Rona Nahi Aata

Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna,
Ke tere baad koi “ACHA” na lagey,
Tujhe karni hai “BEWAFAI”  ‘FARAZ’to is ada se kar,
Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey.

tum mujhe kabhi aankhon se pukaro faraz
yeh honton ka takal’luf to zamanay k liye hai.


mujhe bhi shooq huwa mohabbat ka faraz.
aghaz-e-muhabat main hi jaan garvi rakhni pari

waapasi ka safar ub mumkin na hogaa “faraz”
hum to nikal chuky hain aankh sy aansu ki tarha!

u apni mohabbat ka dawa na kia kar “faraz”
zinda tu wo bhi rahta hai jo muhabat nahi kerta

Pyaar Ka Daava Karne Wale Hum Ne Dekhe Hain faraz…..!
Jinhen Hum Aziz To Hain Magar Apni Masrofiyat K Baad.

Us Se Milte He Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

Haath zakhmi hoa kuch apni he khata the faraz
maine kismat ke lakeroun ko mitana chaha

Chand Ka Mizaaj Bhi Tere Jaisa hai Faraz!
Jab
Dekhne Ki Tammana Hoti Hai Nazar Nahi Aata..

Tanhai jab muqaddar mein likhi hai,
To kya shikayat apne aur begaane se…
Hum mitt gaye Jinki chaahat mein Faraz,
Woh baaz nahi aate humein aazmaane se.

Qasoor nahi is me kuch bi unka ” FARAZ “
hamari chahat hi itni thi k unhe ghuroor aa gya

Hum ne suna tha ka dost wafa kertay hain
Faraz…
Jab hum ne kiya bharosa to riwayat hi badal gayi…

Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi
FARAZ
Jab Duniya Chor Ke Hum Janay Lagay Hain

Tu hosh mein tha phir Bhi hamhein pehchaan na paya
“Faraz” . . . .
Ik HUM hein K pee kar Bhi tera naam letay rahey.

Qadam ruk se gaye hein phool bikty dekh kar Faraz….!
Main aksar us sey kehta tha MUHABAT phool hoti hai……!!!

Qadam ruk se gaye hein phool bikty dekh kar Faraz….!
Main aksar us sey kehta tha MUHABAT phool hoti hai……!!!

Main us k Haathon main tha!
Tuttey hue Sheeshe ki tarhan”Faraz”!
Bari Umeed thi k Bikhrny nhi dega!
Bus giraya kuch is Ada sy k!
Simatne ki Aaas Hi na Rahi.

Uski Qurbat to Muqaddar hai milay ya na milay Faraz…
Uski yaadon se bhi ho jati hai Tasalli dil ko.

Kyun na gharoor karta mein apney aap pey “FARAZ”
Mujhe us ney chaha jis ka chahnay waly hazaron the.

Faryaad kr rahi hein tarasti hui nigahein.
FARAZ. . . .
Dekhe huwe kisi ko bohat din guzar gaye.

Apne Hi Hote Hain
Jo Dil Pe Waar Karte Hain, Faräz…!
Wärnä Ghairon Ko Kaya Khäbär Dil Ki Jaga Kon Si Häi..

Meri nighahon ki Talash bas itni hai Faraz.
K aakhri saans se pehly us ka deedar ho jaey.

Manzil qareeb dekh kar mutmain na hoo Faraz….
Aksar Kashtiyan doobti han, Manzil ka aas paas.

Hamari Pyaas ka Andaaz bhi alag hai Faraz…
Kabhi Daryaaon ko thukratay hain to kabhi Aansu tak pee jaty hain.

pehli mulaqaat thi aur hum dono hi be bass thy FARAZ.
wo zulfain na sambhal paaye aur hum khud ko…

Ye bhi acha hoa ka usay paa na sakay “Faraz”
Humara ho k agr bicharta to shayad qayamat hoti.

“”Wafa ki aaj bhi qadar wohi hy
Faraz.
“”Faqat mit chukey hen toot k chahne waley..!!

her juram meri zaat se mansoob huwa hai faraz,
kya mare sawa shahr main masoom hai sare.

Kitnay gharor main hain wo mujhy tanha chor k “faraz”
unhen malom nhe mery aansu mujhy tanha honay nhe dety

parda tu hosh walaalon say kaiya jaata hai”faraz”.
be naqaab chaley aao hum tu nashey main hain.

Hussan walon ko kiya zarorat hai sanwarney ki “Faraz”
Wo to sadgi main bhi Qiyamat ki adda rakhtey hain.

Aasman bhi ro para us waqat mere haal par “faraz”
jis waqt mery naseeb me usey likh mita diya.

dil tootne ka ghum na kar.
faraz
pathar k dost tum ne khud banye thy.

suna tha dil samndar se bhi gehra hota hy faraz…
hairan hon samaya nahi is me tairay siwa koi.

Us ka honto ko chuwa to ehsas howa faraz.
k pyas faqat paani sy hi nahi bujhti…

hum ne muhabtain chord deen “faraz”.
tanha raat din ka tarpna hamaray bas ki baat nahi.

raabtay iss liye main torr raha hoon sab se faraz.
mar bhi jaon tu kisi aankh main ansoo na milain..


Ajab hai

“RASAM-E-ULFAT” ay

“FARAZ”

dil hamara hai magar
“IKHTIAR”
kisi aur ka hai…


zindagi mein is se badh kar ranj kya hoga faraz
uska ye kehna,ke tu shayar hai, deewaana nahi.

Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna Faraz ….!
Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti….!

hazaroo tukray kiye us ne mere dil ka “Faraz”
kudhi ro para har tukray pe apna naam dekh kar

zalzalay youn hi Besabab nahi atay Faraz,
Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga…

Ek khalish ab bhi mujhe bechain karti hai FARAZ
sun ke mere marne ki khabar wo roya kyo tha

Kal raat aapnay  sary dhuk kamray ki dewaron se keh daly “Faraz”
Ab main soota hun to dewarain roote rahti hain

main KHUDA ki nazron may kesay na gunahgar hota Faraz
k ab to sajdon main bhi wo yaad aany laga…

yehi darr tha k humse daman-e-muhabat na chhoot jaey
faraz
maloom na tha kal ye muhabat hi hamein chhor degi…

“BIK”raha tha waqat k bazar main meri gherat ka lahu
“faraz”
“MURR”k jo dekha to apna he pyar kharidar nikla.

Teray baad na aaye ga meri zindagi ma koi aur “Faraz”
Ek mot hai k jis ki hum Qasam nahi detay…

Mere  Shikwon Par Us Nei Has K Kaha FARAZ….
Kisne  Ki Thi Wafa Jo Hum Karty….!!!!!

Mere Sajdo Mei Kami To Nahi The FARAZ
Mujse Bhar Kar Kis Ne Manga Tha Khuda Se..

Jitni shiddat se mujhe zakham diye hain us ne FARAZ.
Itni shiddat se to main ne usay chaha bhi na tha.

Mujhe khairaat main mili khusian ache nahi lagti Faraz
main apne dukhoon main rehta hoon nawabon ki tarah

Kal raat apny sary dhuk kamray ki dewaron se keh daly Faraz
Ab main soota hun to dewarain roote rahti hain

jiss ka tum puchte ho wo mar gaya FARAZ,
us ko kisi ki yaad ne zinda jala diya…..

Aaj Uss k taswer ka aalam kuch is tharha tha “Faraz”
Ka neend aayi to aankhon nei bura maan liya…

Us shaks se faqat itna sa taaluq hai Faraz.,,
Wo pareshan ho to hamain neend nahin aati……

hum se to ek rootha hua shaks na maana FARAZ
log to roothi hui kismat mana lete hain…

Suna hai tumhari ik nigah say qatal hotay hain log FARAZ
ik nazar hum ko bhi daikh lo k zindagee achi nahin lagti

Roue ga is kadar wo meri laash say lipat kar Faraz
Agar is bat ka pata hota to kab k maar gaey hotay

Kitni Nafrat thE ussE Teri TasveeR sE FaraZ..
KE apnA haTh hi Jala DalA Teri TasveeR jalanE k bAAd

Apni nakami ka ik yah bhi sabab hy Faraz
cheez jo mangty hain sab say juda mangty hain

Humne Sookhi hui ShakoN pe Lahu Chhirka tha FaraZ..
phool Agar Ab b Na khilTe To KayamaT Hoti

ab melengay to khubb rulayain ge us sangdil ko faraz,
suna hy rote mai usko lipat jane ki aadat haay

Teri bewafion par mar jany ko ji chahy Faraz
Tuj main wafa hoti too kiaa hoota'

Ab neend say kahoo hm say sulah kar lay Faraz
Wo rooth gaey jin k liay hm jaga karty thay

fakat is dur sa sona bhi chore dia ha faraz…
kahin wo khuwab main bhi bichra to mer jain gay

Janay kis bat pay us nay mujy chora hy faraz
Main to mukhlis tha kisi maa ki duwaon ki tarah

Us ki “NIGAH” main itna assar tha, “FaRAz”
Khared li us ne aik nazar main zindagi humari.

Kisi” ki yaad ne Zakhamon se bhar dia seena
faraz’
Hr aik saans pr shak hai k Aakhari hogi !!!

Mujhko tum rooh main basa lo, to acha hai Faraz.
Dil-o-Jaan k Rishty aksar toot jaaty hain.

her roz dil udaas hota hai or shaam guzar jaati hai “faraz”..
ek roz sham udas hoga or huma guzar jaayenge..!

Ab osay roz na sochoon to badan toot-ta hai FARAZ…!!
ik umer ho gayi us ki yaad ka nasha kartay kartay…

Ankhain khuli to jag uthi hasratain FARAZ…
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main…..

shiddathe dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge…….

shiddathe dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge…….

Woh Mujhe Apni Zindagi Samjti Hain FARAZ
Kya Osay Mujhpar Aithbar Nahi..!!

Uskay Shehar Main Ki Guftogo Hawaon Se FARAZ
Yeh SoCh Kar Kay Hawaon Main Sansain Thi Uski

tum tu kaha karte thay k waqat sahra hai
faraz’
to phir shub tanhai main roya kauon karte ho


Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne
FaRaZ,
Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar..!!


Be wajah nahi rulata ishq mein
“faraz”
jisay khud se barh k chaho wo milta zaror hai


Rotay Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Rastay **
!! FARAZZ !!
** Jin Pe Tere Bagair Main Guzra Kabhi Na Tha **


Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne
FaRaZ,
Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar..!!


Ajeeb Andhera Hai “FARAZ” Teri “MEHFIL” Mein…!!!

Kisi Nay “DIL” Bhi Jalaya Tu “ROSHNI” Na Hui..!!!


Peeenay Ku Tu Pee Jaoo Zeher Bhee
Faraz
Per Shert Yeh Hy Kay Woh Bahoon Main Sambhalay Mujh Ku…..


Phir itne mayoos kyun ho us ki Bewafaai Per “Faraz”

Tum khud hi to kehty thay k wo sab se Juda hay


Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi,
Chale aao k duniya se Ja raha hai koi,

Azal se keh do k ruk jaaye do ghari k lye,
Suna hai aane ka waada nibha raha hai koi,

Woh is naaz se bethe hein Laash k paas,
Jese roothe howe ko mana raha hai koi,

Palat ker na aa jaaye phir saans nabbzon mein,
Itne haseen haathoon se mayyat saja raha hai koi

4 comments:

  1. Very nice, thanks for sharing..
    pls visit my new blog and do share your views..
    USA NEWS TIME
    Thank you

    ReplyDelete
  2. If you're in desperate need of a fun or something to brighten

    up your day, visit one of the entertaining site and you will

    not be disappointed. Funrocks is the best enjoyment site that

    suits your style whether its images or music. The Museum of

    Online entertainment - access is free, and you can download

    everything to your computer for personal use.

    Funrocks is the best recreation site to make you happy and

    delight. This website is well-organized, easy-to-search,

    available for everyone to cheer. Here you can get a rich

    resources for music, movie, well-meaning shayari, SMS,

    wallpapers, poetry, mehandi design and many more.

    Funrocks has amused and treated fans for years and has hit new

    levels of inspiration with good Shayari and SMS. Get a

    fabulous digital collection here, browse from A to Z or by

    decade. You'll find everything from the Life Times of Ahmad

    Nadeem Qasmi to Saghir Siddiqui.

    ReplyDelete
  3. Really Lovely Lines for more lovely, sad, romantic, poems check www.loverspoint27.blogspot.in

    ReplyDelete
  4. This is great urdu poetry collection of ahmed faraz. Ahmed Faraz is considered to be the one of the most read urdu poets from pakistan

    ReplyDelete