‎"Dil me dhadkan aur aankhon mein aansu tham jate hai, jab kabhi ham aap ke is ashiyane me aate hai...thaam to lete hai adharo ki kapkapahat do ghadi...par in aansuo ka kya kare jo pal bhar me bikhar jate hai...!!!



Hamari chetna me ab wo rawani nahi, Jo fanna hoti thi desh pe ab wo jawani nahi!

Aaj sab lage hai is desh ko lutne me, ye hakikat hai koi kahani nahi!

Desh drohiyo ka jamghat laga hai har gali me aaj, ek sachha hindustani na mile to isame koi hairani nahi!

Abhi bhi waqt hai kuchh kar ke dikhane ka, rago me rakt hai koi bahta pani nahi!

Ye mat socho pahle koun agaz karega, tum suru to karo koi na koi anzam karega!

Jo dar gaya mout-e-anzam ko sochkar, wo kafir hai sachha hindustani nahi!

Ek kadam badha kar to dekho watan ke liye, kuchh katra baha kar to dekho chaman ke liye!

Sara jaha jhuk jayega tere kadmo ke aage, akhir tu hindustani hai koi pakistani hai!!!