Meri Mohabbat Hai Woh, Koi Majboori To Nahin !!!

Chanchal Singh | 11:18 AM | 5 comments




Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.

Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.

Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.

Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.

Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.

Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.

Us ke gar ki taraf uthte hi ruk jaate hain kadam.

Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.

Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.

Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahin.

Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.

Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.

Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae mian.

Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.(mkm)

============================================

Category:

5 comments

  1. ko0ljerry says:

    Hum bhi pyaar karte hai...
    Hum bhi yaad karte hai...
    Fark sirf itna hai, ke woh humhe bhoolgaya...
    Aur hum une bhul na paya...
    Mayos aur naraz to sab hote hai...
    Bas hum yuhi unke liye dua mangte hai...
    Tanhaiyo mein guzri har ek lamha...
    Ab to zinda rehne ka maqsad hi na raha...

  2. “Lamhe judai ke bekarar karte hain
    Halaat mere mujhe lachaar karte hain,
    Aankhe meri padh lein wo kabhi
    Hum khud kaise kahe ki unko kitna pyar karte hain”

  3. Anonymous says:

    http://www.loveshayaris.co.in/